kamranasad.in Kamran Asad ki vyaktigat website hai — unki pehchan, unki kitabein aur unke sangathanon ki jaankari yahan milti hai. Hamara Android app bhi yahi website dikhata hai. Is policy me bataya gaya hai ki kaunsa data liya jata hai aur kyun.
Website dekhne, kitabein padhne ya download karne par koi jaankari nahi li jati. Site ke forms ka upyog karne par wahi jaankari li jati hai jo aap khud dete hain — jaise Team Kamran se judne ke form me naam, mohalla/ward aur mobile number, ya sampark ke samay diya gaya naam aur email. Site cookies ka upyog karti hai (site ki suvidha aur ginati/analytics ke liye).
Sirf sampark, team aur sadasya record, aur site chalane ke liye. Hum data kisi company ya teesre paksh ko bechte nahi hain.
kamranasadjournalist@gmail.com par apne naam ke saath email karein — jaanch ke baad aapki jaankari hata di jayegi.
Is policy me badlav hoga to yahi page par dikhega.